Tuesday, 30 August 2016

Affiliate Marketing Kya Hai, Full Guide In Hindi

Affiliate Marketing Kya Hai, Full Guide In Hindi

Affiliate Marketing Hindi
Affiliate Marketing Kya Hai
Friends, Agar Aap Ek Blogger Hai, To Aapne Pro Bloggers Ki Income Report Dekhi Hogi, Pro Bloggers Ki Income Report Me Affiliate Marketing Ka Bada Share Hota Hai. Agar Aap Harsh Agarwal Ki May Ki Income Report Dekhenge To Usme Affiliate Marketing Ka Yogdaan Dekha Ja Sakta Hai. May Me Harsh Ne Affiliate Marketing Se $23765 (Approx 16 Lakh INR) Earn Kiya, Jabki Unki Total Income 19 Lakh Rahi. Yani Unki Kamayi Ka 84 % Kewal Affiliate Marketing Se Hi Aata Hai. Ab Aap Affiliate Marketing Ki Importance Ko To Jarur Samjh Gye Honge. Aaj Ke Es Post Me Ham Yahi Jaanenge Ki Affiliate Marketing Hota Kya Hai, Aur Esse Earning Kaise Kare.

Affiliate Marketing Kya Hai

Affiliate Marketing Internet Par Earning Karne Ka Sabse Naya Aur Popular Tarika Hai.
Affiliate Marketing Ka Matlab Hota Hai, Jab Koi Vyakti Apne Special Refer Link Se Kisi Products Ko Sell Karwata Hai, Aur Eske Badle Kuch Commission Pata Hai, Ese Affiliate Marketing Kahte Hai.
Affiliate Marketing Se Earn Karne Ke Liye Aapke Paas Koi Blog Ya Site Hona Compulsory Nhi Hai, Bas Aapke Paas Ek Bada Social Network Hona Chahiye, Jahan Aap Apne Products Ko Promote Kar Paye. Bahut Se Friends Bina Kisi Blog Ke Affiliate Marketing Se Earn Kar Rahe Hai, But Agar Aapke Paas Ek Big Traffic Wala Blog Hai, To Aapke Paise Kamane Ke Chances Bahut Badh Jate Hai. Bloggers Ke Liye To Ye Sabse Best Tarika Hai Apni Earning Ko Badhane Ke Liye, Yakin Maniye Affiliate Marketing Se Aap Adsense Se Kai Guna Jyada Paisa Kama Sakte Hai, Shart Hai Aap Kis Tarah Apne Visitors Ko Products Purchase Karne Ke Liye Suggest Karte Hai, Bina Users Ko Force Kiye Aapko Apne Products Ko Sell Karwana Hai.
Abhi Hindi Bloggers Ke Liye Affiliate Marketing Earning Ka Utna Bada Sadhan Nhi Hai Kyuki Jyadatar Visitors Free Me Viswas Rakhte Hain, And Agar Wo Products Purchase Bhi Karenge, To Kam Hi Chances Hote Hai Ki Wo Aapki Refer Link Se Purchase Kare. Lekin Agar Aap Logo Ko Achhe Se Products Ke Bare Me Samjhayenge, And Request Karenge Ki Wo Es Product Ko Aapke Link Se Hi Khride To Ummid Badh Jati Hai, And Earning Ke Chances Bhi Badhenge.
Affiliate Marketing Ka Future Bright Hai, Esliye Aapko Eske Bare Me Jankari Honi Chahiye.

Affiliate Marketing Kaise Kaam Karta Hai

Process Bahut Simple Hai, Sabse Pahle Aap Apne Liye Affiliate Companies Choose Karenge, Aajkal Kai Badi Companies Affiliate Program Chala Rhi Hai, Jaise Flipkart, Amazon, Snapdeal, Bluehost, Hostgator, Google Etc. Aap Enke Bare Me Google Par Pata Kar Sakte Hai. And Join Kar Sakte Hai, Fir Aapko Waha Products Milenge Bas Apne Link Se Unko Sell Karwaye And Earn Kare.
image
Bluehost Ek Refer Ka 4000 Deta Hai. Yani Agar Aapne Kisi 1 Bande Ko Bhi Bluehost Ke Liye Apne Link Se Hosting Purchase Karwate Hain, To Aapko 4000 Milenge. Yani Agar Mahine Me Aap 3 Logo Ko Bhi Bluehost Se Hosting Khridwate Dete Hai To Aap Kam Se Kam 12000 Kamayenge. Adsense Se Aapko 12000 Kamane Me Kafi Time Lag Sakta Hai But Yahan Aapko 3 Logo Se Hi 12000 Mil Jayenge.
 

Affiliate Marketing Me Use Hone Wale Common Words

Affiliate  –  Affiliate Means Wo Vyakti Jo Products Sell Karwata Hai (Like U And Me).
Affiliate Market Place – Affiliate Marketing Place Means Wo Jagah Jahan Se Ham Apna Refer Link Pate Hai, Ya Esi Jagah Jahan Se Aap Affiliate Link Generate Kar Sakte Hai.
Affiliate Link – Affiliate Link Us Link Ko Kahte Hai, Jispar Click Karke Log Products Khridenge.
Payment Mode –  Yani Aapko Payment Kaise Milega, Jaise Kai Companies Sirf Paypal Me Hi Money Dete Hai.
Commission –  Yani Products Ko Sell Karne Ka Aapko Kitna Milega, Eg. 4% Or 4000
Coupons – Kuch Companies Ek Special Coupon Bhi Deti Hai, Jisse Buyers Ko Discount Milta Hai, Esse Products Sell Karwane Me Aasaani Hoti Hai.

Some Affiliate Marketing Companies :-

1. Flipkart      – Join Now
2. Amazon     – Join Now,
3. Snapdeal    – Join Now
4. BlueHost  – Join Now
5. HostGator  – Join Now

FAQ Related Affiliate Marketing In Hindi

Q –  Affiliate Marketing Par Ham Kaha Se Join Karenge.
A – Gud Question, Friends Jaisa Ki Maine Article Me Bataya Ki Kai Companies Affiliate Program Chalati Hai, Bas Aapko Un Companies Ke Bare Me Pata Karna Hai, And Unki Affiliate Site Par Jakar Join Karna Hai. Maine Upar Kuch Popular Companies Ke Naam And Site Bhi Bataye Hai.
Q –  Mere Kamaye Hue, Paise Mujhe Kaise Milenge
A – Alag – Alag Site Ke Paise Send Karne Ke Tarike Alag Hai, But En Sab Me Paypal Common Hai, Aap Paypal ID Bana Sakte Hai, And Wahan Se Paise Receive Kar Sakte Hai. Paypal Me Paise Aane Ke Baad Aap Bank Me Withdrawal Kar Sakte Hai.
Q –  Kya Aap Mujhe Sabhi Popular Affiliate Programs Ke Bare Me Batayenge, Jisse Mai Earning Kar Saku.
A – Bilkul,  Hindi2Web Ka Maksad Yahi Hai Ki Aapko Paise Kamane Ke Naye Naye Tariko Ke Bare Me Bataye, Aur Jld Hi Ham Aapko Affiliate Marketing Se Judi Kai Companies Ke Bare Me Batayenge. Aap Flipkart Affiliate Ke Bare Me Yahan Se Padh Sakte Hai.
Q –  Mai Apni Earning Kahan Se Check Karunga.
Aap Jis Affiliate Site Par Register Karenge, Wahi Se Aap Apni Earning And Reports Bhi Dekh Sakte Hai.
Q –  Kya Adsence Ke Sath Affiliate Marketing Use Kar Sakte Hai.
A – Yes, Aap Dono Use Kar Sakte Hai.
Q –  Mera Sawaal FAQ Me Nhi Diya Hai.
A –  Agar Aap Koi Aur Question Puchna Chahte Hai, To Comment Box Me Apna Sawaal Puch Sakte Hai, Aap Apna Feedback http://aaopaisakamye.blogspot.in/Par Bhi Send Kar Sakte Hai.
To Friends Ye The Affiliate Marketing Ke Bare Me Kuch Basic Jaankari, Agar Ye Aapke Liye Helpful Ho To Plz Apne Friends Ke Sath Ese Share Kare.

No comments:

Post a Comment

Welcome